W3.CSS
Bhakti Ras Pravah-भक्ति रस प्रवाह

Naag Teela Mathura Ka Prachin Dharmik Place

 यहाँ की मिटटी में आज भी प्राचीन काल में ऋषि   मुनियो द्वारा  किये हुए यज्ञ की राख निकलती है

Naag Teela Mathura Ka Prachin Dharmik Place
Mathura mein ek aisa tila jahan ek nhi do nhi teen nhi anginat naagon ka basera hai.Jahan ki mitti khodne par mitti ke sath hazaron varsh purv kiye gye rishi muniyon dwara yagya ki rakh niklke aati hai,jisse shradhalu mathe se laga kr apne ghar le jaate hai.veh prachin sthan jahan par raja parikshit ke putra dwara samast naag jaatiyon ka vinash krne ke liye yagya kiya gaya.Sabhi ko radhe radhe aaj hum aapko lekar aaye hai ek divya aur bahut hi prachin sthan pe jisko ki naag tile ke naam se jaana jaata hai,aur yeh sthan hai mathura ke bangali ghat par subhash school hai ussi ke theek samne yeh sthaan hai.toh aaiye hum jaante hai ki yeh ki kya vishesta hai aur isko naag tile ke naam se kyo jaana jaata hai toh iske liye hum chalte hai tile pe aaiye mere sath.Hum aur aap aaj puneh aaye hai darshon ki shrankhala mein mathura puri panch kosi parikrama marg ke prachin sthan naag tila par yeh sthan subhas inter College ke bilkul samne hai itna prachin sthan ki yugo yugo se iski prachinta ka purano mein varnan milta hai.shruti smritiyon mein yeh pouranik sthan ki prachinta ka hum aur aap darshan krte hue chal rhe hai,mukhyatah yeh sthan waise toh tapobhoomi ke roop mein rha hai santon ki tapobhumi,yeh mathura puri ka naag tila sthal lekin iski ek aur visheshata hai ki raja parikshit ji ko jab shraap mila ki takshak naag dwara dasne ke pashchaat unka sharir choda jaayega toh yhn par raja parikshit ji ke putra ne jab unka sharir chodh diya gaya toh unhone shaanpon ka naagon ka yagya kiya.aur yagya krne ke pashchaat jab shrasti mein naagon ki prajaati ko khatam hone ka bhaay vyapt hua toh sabhi devi devta hath jodh kr brahmaji sahit yahan prakat hue aur unhone iss yagya ko vishram karne ka aagreh kiya aur kaha ki yeh kaal ki gaati thi aur uss kaal ki gaati ke anuroop yeh ghatna ghaati aap apne krudh na ho,tab se sabhi devti devta ke aagreh ke pashchaat unhoneiss yagya ko purna kiya aur yahn par naagon ka yeh vaas sthan naag tila keh laaya.aur usse bhi purv yeh sthal yagya bhoomi raha hai aur yahn jis prakar dekh rhe hai ki kitti sundar vrakhshawaali hai aur ek vishesta aur iss shetra ki yeh dekhiye aap yahan par naag phaanike vraksha aapko bahut aayaat mein milenge.aur jahan par naag devtaon ka vaas hota hai uss sthaan par yeh naag phaani ke vraksha hum aur aapko darshit hote hai toh aaj bhi yeh veh sidh sthaal hai ki yahan par naag devta vichran karte hai aur yeh malla vidhya ka bahut bada kendra rha hai mathura mein.yeh prachin naag tila mathura akhada yeh aap darshan kariye aur iske pashchaat hum aapko yahan par virajman naag devtaaur bihari ji ke bhi darshan karayenge yeh naag devtaon ke sthan hai aur yeh bahut sundar pracheen naag tila mathura puri ke madhya mein iss prachin sthaal par naag devta ke darshan hai aur sath mein prachin tapobumi bihari ji ke mandir ke roop mein yeh rahi hai yahan par bihari ji ke bade hi prachin darshan hai mandir prangan mein. Jinka ki hum aur aap darshan karenge thakurji ka Sundar chota sa swaroop lekin itna sidh aur itna prachin aur darshniya hai ki jiske vishay mein yahan ke sewayat Dr.kushnath ji aapko varnan karenge thakurji ka swaroop kitna prachin aur kitna sundar hai thakurji shree radha krishna bihariji ke roop mein aur sath hi prachin saalegraam swaroop mein yhn thakurji ki vibhinn sewayein mandir prangan mein yahi hai iss braj bhoomi ki alokikta aur prachinta yeh bhoomi thakurji ke divya darshano se sushobhit ho rhi hai mathura puri ek prachin alokik sthaan hai

नाग टीला मथुरा का धार्मिक और स्थान  के दर्शन करें 






Post a Comment

0 Comments